Thursday, April 5, 2012

Wise Golden Sayings by Hazrat Imam Ali AS


Din ki roshni mein rizq talash karo,
Aur raat ki tareeqi mein,
Usse talash karo,
Jo tumhein rizq deta hai.
By Hazrat Imam Ali (AS).

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga

By Hazrat Imam Ali (AS).

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,
Yeh uski badnaseebi hai.
Koi tumhein na chahey aur tum
Usse zaberdasti apna banana chaho,
Yeh tumhare nafs ki zillat hai
By Hazrat Imam Ali (AS).

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
By Hazrat Imam Ali (AS).

Insaan dukh nahin deta,
Insaanoun say wabasta umeedein dukh deti hein.
By Hazrat Imam Ali (AS).


Agar kisi ka banna chahtey ho,
To poori haqeeqat say ban jao,
Warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida karlo ke,
Koi haqeeqat mein tumhara ban jaye.
By Hazrat Imam Ali (AS).

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho.
  
By Hazrat Imam Ali (AS).

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo:
1. mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki
By Hazrat Imam Ali (AS).

3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna

By Hazrat Imam Ali (AS).

6 cheezein amal ko zaya karti hein:
1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6. Zulm

By Hazrat Imam Ali (AS).


Reference: Sourced from Nahjul Balagah - The Peak of Eloquence

No comments:

Post a Comment